Apna Meter Apni Reading Ab Bill Reading Aapke Haath Mein

Apna Meter Apni Reading: WAPDA Ka Smart App ‘Power Smart’ Ab Har Ghar Mein


No More Wrong Bill! Apni Reading Khud Upload Karein Power Smart App Se



Hello Guys!


Aaj ki is Blog mein hum baat karne wale hain ek new app ke baare mein jo Government of Pakistan ne launch ki hai jiska naam hai "Apna Meter Apni Reading". Is app ke zariye ab aap khud apne electricity meter ki reading le sakte hain aur bill check bhi kar sakte hain.


Pehle kya hota tha? Jab bill aata tha to ek banda aapke ghar ke bahar aata, meter ki picture leta aur us image ke base par aapka bill generate hota. Lekin is system mein bohat human error hota tha – kabhi reading galat ho jati thi ya image clear nahi hoti thi. Log complain karte the ke bhai reading aur bill mein farq hai.


Ab is system ko modernize kar diya gaya hai. Ye jo app hai, iska naam hai "Power Smart". Aap isey Play Store ya App Store se download kar sakte hain. Is app ke through aap:


1. Apna bill dekh sakte hain


2. Meter ki self reading upload kar            sakte hain


3. Daily consumption track kar sakte       hain


4. Apne bill ka payment kar sakte              hain (coming soon)


5. New connection ke liye apply kar           sakte hain


6. Sanctioned load change kar sakte         hain


7. Meter fault report kar sakte hain


8. Tenant update kar sakte hain


9. Complaint register aur escalate tak       kar sakte hain



Is app mein bohat sari useful cheezein hain. Jaise ke agar aap rent pe rehte hain to aap tenant detail update kar sakte hain. Aap bill ka due date extension bhi le sakte hain agar kisi wajah se time pe payment nahi ho saki.


Aur haan, ek aur feature hai jo bohat useful hai – Installment plan. Ab aapko bill ko installment mein pay karne ke liye WAPDA office nahi jana padega. Ye sab aap app se hi kar sakte hain.


Aur ek estimate calculator bhi diya gaya hai – agar aap ye jan-na chahte hain ke kitni bijli use hui aur kitna bill aayega to aap meter reading dal kar estimate nikaal sakte hain.


System kaafi smooth hai, app user-friendly hai aur sabse achi baat ye hai ke ab human error ka chance bohat kam ho gaya hai. Jab app fully active ho jayegi to mein ek aur detailed blog lekar aaunga.



Milte hain next blog mein. Allah Hafiz!


https://mobilepknews.blogspot.com/2025/06/top-5-phones-coming-soon-tech-update.html




Post a Comment

0 Comments