Assalamualaikum dosto, kaise hain aap sab?
![]() |
WhatsApp channel monetization |
WhatsApp upcoming features
Main aap logo ka lea ek blog listing kar raha hoon. Bhai, kaafi time baad WhatsApp phir se kuch aise interesting features le kar aa raha hai jo sun’ne ke baad aapko lagega ke WhatsApp aur Instagram kaafi similar hote ja rahe hain. But reality ye hai ke WhatsApp ko is time Telegram se kaafi zyada competition mil raha hai, aur isi wajah se hum dekh rahe hain ke WhatsApp wale bhi serious ho gaye hain aur naye naye features regularly le kar aa rahe hain.
Kuch features hain jo WhatsApp already le aaya hai, aur kuch aise hain jo coming soon hain. Pehle hum wo dekhtay hain jo aane wale hain, phir baad mein un par baat karenge jo already aa chuke hain.
Sabse pehle baat ye hai ke WhatsApp ka jo status hota tha, pehle wo ek story ki tarah work karta tha. Lekin ab WhatsApp status thoda post jaisa behave karega. Matlab aap apne doston ke statuses ko apne status pe share kar sakenge aur apne status ka link Facebook ya kisi aur jagah bhi share kar paenge. Iska matlab ye hai ke WhatsApp ka status ab ek public post ki tarah ban sakta hai.
Apple ne thodi der pehle ek feature launch kiya tha jahan notifications ko summarize kiya jaata tha. WhatsApp bhi ab yehi feature la raha hai. Agar aapko ek din mein 10 messages aate hain, to aapko ek ek message open nahi karna padega. Aap ek summary dekh sakenge jis mein poori chat ka main point likha hoga. Ye feature personal aur business dono WhatsApp apps pe available hoga.
Dusri badi update ye hai ke WhatsApp pe ab aap bina kisi ko add kiye group create kar sakte hain. Pehle group create karne ke baad hi uski settings change kar sakte the, lekin ab aap group ko pura setup karne ke baad hi log add kar sakte hain. Aap group ka naam, icon, aur settings pehle se hi set kar paenge.
WhatsApp ne group labels ka feature
bhi diya hai jahan agar kisi banday ka role important hai jaise boss ya teacher, to unko label diya jaa sakta hai. Ye feature especially school ya office groups ke liye kaafi useful hai.
Ek aur problem jo WhatsApp users ko hoti hai,
wo hai forwarded media. Random log videos forward karte hain jisse storage bhar jaati hai. Ab WhatsApp allow karega ke aap decide karein ke videos low quality mein download hon ya high quality mein. Aap low quality set karenge to data aur space dono bachega.
Zoom se ek aur feature copy hua hai
Raise Hand wala. Ab agar aap WhatsApp pe group call kar rahe hain to raise hand karke apni baat ka signal de sakenge.
Aur sabse important cheez – WhatsApp AI features. Meta AI to already WhatsApp pe available hai but ab aap apni AI-generated chat themes aur replies bhi bana sakenge. Shayad Pakistan mein iska zyada use na ho, but office use ke liye ya jahan English reply dena ho, wahan kaafi helpful hoga.
Ek aur major update hai ke WhatsApp Channels ke zariye creators paisay kama sakenge. Ab creators apna exclusive content sirf un logon ko dikha sakte hain jo uske liye pay karte hain – bilkul Facebook paid groups ki tarah.
Aur ab WhatsApp ne notification customization ka feature bhi de diya hai. Aap vibrate ka pattern, light color, aur sound waghera sab customize kar sakte hain.
iPhone users ke liye AI DP generation bhi aa gaya hai. Aap AI ko bataenge ke kaisi DP chahiye aur wo aapko image bana kar de dega. Saath hi aap apna khud ka AI assistant bhi WhatsApp pe create kar sakte hain – jaise kisi ne ek AI ‘baba’ banaya hai jo advice deta hai.
Aur bhi choti choti changes hain lekin bolo lamba na ho jaye is liye yahin end karta hoon. Hope ke blog pasand aayi hogi
Allah Hafiz!
0 Comments