Samsung Galaxy Fold 7 & Flip 7 🔥 Full Specs + Watch 8 Launch | Kya Ye Foldables Game Changer Hain
Assalamualaikum bhaiyo aur behno!
Samsung walon ne ek aise foldables launch kar diye ke mujhe laga ke bhai Blog banana bohot zaroori ho gaya hai. Main baat kar raha hoon Samsung Galaxy Z Fold 7, Z Flip 7 aur Samsung Galaxy Fan Edition ki.
Ab ye kaafi interesting cheezein hain kyunke teen naye foldable phones aur teen nayi Galaxy watches launch ki gayi hain Samsung ki taraf se. In sab ki full detail aapko bataonga.
Sabse pehle ye baat clear kar du ke ye mobile phones Pakistani market mein aane wale hain, lekin exact launch date abhi tak confirm nahi hai. Aur iss dafa Samsung ne staged launch kiya hai, matlab har market mein alag timeline pe phones launch ho rahe hain. Iska reason kya hai? Ye abhi tak koi officially nahi bataya gaya.
Lekin bhai Samsung ne iss dafa game utha li hai.
Aur mujhe lagta hai kai log Samsung Pakistan ka intezar bhi nahi kareinge. Samsung ki jo Z Fold series hai, uska main hamesha fan raha hoon lekin honestly baat yeh hai ke Chinese brands ne kaafi aage nikal gaya thay — better camera, better battery, slim design — sab mein Chinese foldables beat kar rahe thay.
BUT this year Samsung ne full dhamaka kiya hai!
Samsung Galaxy Z Fold 7 jo aaya hai, wo 26% zyada thin hai pichhli generation se. Uska weight bhi kam ho gaya hai, display size bhi bada ho gaya hai — dono andar wala aur bahar wala.
Ab agar aap ek aisa banda ho jisko foldable nahi chahiye lekin solid outer display chahiye, toh ab Z Fold 7 aapke liye best option hai.
Display kya hai bhai!
Andar wala screen ab 8 inches ka ho gaya hai — full tablet vibes milti hain. Aur under-display camera jo pehle weak tha, ab replace ho gaya hai 10MP proper selfie camera se.
Back camera bhi major upgrade hua hai:
200MP main sensor, jo ke wahi sensor hai jo Galaxy S25 Ultra mein milta hai. Ultra-wide aur periscope camera thoda weak hain (12MP aur 10MP), lekin overall main camera kaafi powerful ban gaya hai.
Processor?
Snapdragon 8 Elite milta hai, wahi flagship chipsets hain.
Pricing international market mein $100 badhi hai, Pakistan mein shayad aur zyada difference ho kyunke PTA tax alag se lagta hai.
Ab baat karte hain Z Flip 7 ki:
Iski outer screen ab itni badi ho gayi hai ke aap use normal phone ki tarah use kar sakte ho. 4300 mAh battery, 6.8 inches internal display — matlab foldable mein bhi proper flagship feel mil rahi hai.
Aur ek naye model ka zikar — Z Fold FE, jo ke thoda budget friendly hai lekin usmein Exynos processor hai, toh performance thodi kam milegi. Mujhe personally lagta hai ye phone Pakistan mein zyada nahi chalega.
Watches ke baare mein:
Samsung ne 3 nayi smartwatches bhi launch ki hain:
Galaxy Watch 8
Galaxy Watch 8 Classic
Galaxy Watch Ultra (Blue Color)
Jo Classic version hai uska rotating bezel wapas aa gaya hai — mujhe ye version personally bohot pasand aaya. Lekin ab bhi samajh nahi aayi ke Samsung normal version mein bezel kyu remove karta hai. Signature feature tha bhai!
Heart ke naye sensors bhi aaye hain, lekin Pakistan mein ye activate honge ya nahi, ye aage pata chalega. Waise bhi health features ka activation Pakistan mein hamesha issue rehta hai.
Aur bhai, ek baat aur —
Honor Magic V5 already market mein aa chuka hai aur wo Z Fold 7 se bhi patla hai. Lekin mujhe lagta hai Samsung ne is dafa kaafi improve kiya hai.
Haan, abhi bhi battery 4400 mAh ki hai, ideally 6000 mAh hoti toh maze aa jate, lekin improvement toh hai.
Conclusion:
Toh bhaiyo, ye tha quick update Samsung ke naye launches ka.neeche comment mein batayein ke aapko kaunsa phone ya watch sabse zyada pasand aaya?
Allah Hafiz!
0 Comments